Aa gaye Siskiyo pe Dekh Hasane Aaja
Poochne Ansuon ko phir se Manane Aaja
Naa De Duniya ko Satane Tu Darane Aaja
MAA Tujhe Ruthey Huwe Barso Zamane Aaja



Jab kabhi Raat Me My Nind Se Uthke Roota Tha

Jaagti Rehti Tu Bi Jab Talak Na Soota Tha
Aaj Phir Ghum ke Andhero ne Mujhko Ghera Hai
Gaate Huwe Looliya'n Tu Mujhko Sulane Aaja



Yaad Aata Hai Tu kaise Mujhe khilati thi

My Jahan Dauda Jata Tu bi Daudi Aati thi
Aaj Tanhayi Me kuch bi Nahi Khaya Jata
Maa Mujhe phir wohi lukmo ko khilane Aaja



koi Mehfil Ho Saaji ya Ho koi Eid Ka Din

khudko kaise sajaun teri Nasiyath ke Bin
Baal kaise Banau phool lagaun ke Nahi
Dekh Ab kapde bi lagte Hai Purane Aaja



Tere Jaate hi Sab Apne Paraye Hoone Lage

khoon ke Rishte  Binj nafrato ke Boone lage
khana To Dete Hai Par Mu Nahi Mujhko Dete
Begani  Bheed Me Tu Mujhko Bulane Aaja



Maa Hume Maaf Kar Suluk Jo kiya Badhkara

Di Tujhe Gaaliya Aur Tujh ko Humne Jhitkara
Baad khone ke Haraf ne Ye Tujhko Mana Hai 
Teri kuch Qadr na ki Hum Thei Deewane Aaja

Pages