Ae Saba kehna Nabi se Afsana
Darbadar phirta Hai Apka Deewana

Duur Hoke Aapse kaise Jiye
Jaante Huwe Zeher kaise piye


Baap Maa Bhai Behen Bhate Nahi
Be'rozgaari Me Ye Apnaate Nahi

Chacha Aur Taaya Se bi lagta Hai Darr
De Bana Mazak Jane kab kidhar

Dost Bi Bin paiso ke Milte Nahi
phool Sehre ke kabhi khilte Nahi

Biwi Bacho ko Maal Aur Zar Chahiye
Zewar Gaadi Daftar Aur Ghar Chahiye

Mamu Aur khalu ke Nakhre Aur Hai
Rishte waise Jaisa Hota Daur Hai

Ghar Me Biwi Rakhke Mashuka Se Pyar
Eman'o ka Kar Rahe Hai Karobaar

Parda Aurto Me se Hai Hatne Laga
Ladko ka Zehen bi  Bhatakne Laga

Qatlo Gharat Hoo Gaya Ab Aam Hai
Sab Ke Haatho Me Sharabi Jaam Hai

Bhook ki khatir khooni koi Chor Hai
Jismo ke Saudo ka kahin Shor Hai

Hai Zina Nikah se bi sasta yahan
insano me Haiwa'n Hai Basta Yahan

kuch Namazi Hoke Suudkhor Hai
Haq pe Hone ka phir Sab pe Zor Hai

Taqat Ab karti Hai Zalim Se Sulah
Bekasoor'o ki Hai Aah Di Bhula

Begunah Khaidi Jelo me Band Hai
Hai Reeha Mujrim Jo Aqal Mand Hai

Roz Ismath Bachiyo ki Luth Rahi
Nau Jawano ki Jawani Chhut Rahi

Tha Banaya Jaisa ye Rab Ne Jahan
O Jahan Dekho Kahin Ka Na Raha

Kaisi Duniya Kis Liye Yahan Rahu
Bulwalijye Khadmo Me Pada Rahu

Haraf Bi To Shah Bada Badkaar Hai
 Gunahgaro Se Bada Gunahgaar Hai

Yaa Rasool Allah Karam Kardo Karam
Hai Haraf Sharminda Ya Shahe umam 

Pages