Hai jaan mehdi emaan mehdi 
Hum mehdaviyo ki pehChan mehdi

Zikr jo cheada nabi ne unka 
Adab kiya tha sabhi ne unka
Talib e deed me dhadak utha dil Bane Ali ki Armaan mehdi 

Pucha jo unse Adu'o ne jab 
Kya tera emaan Kya tera mazhab
Bole Nabi ki pairvi Hai Eman Bataya mazhab Quran mehdi 

Imamana my Bada kamina 
Ulfat me Apki ghayal ho sina 
Lehed me kudsi kafan jo khole To dekhe mera nishan mehdi 

Turbat pe jis dum Nakirain Aaye

ajab Tamasha Wahan Wo paaye
kare jo Bauchar sawalato ki Dil Bole Muhammed Zaban mehdi

kaha nabi ne Halak Ummat 
Na hogi meri Ho koi keemat 
Awwal me My Hu Akhir me Esa Aur Hain Hamare Darmiyaan mehdi 

Duniya ka ghum ho ya Qabr ka Darr 
Naza ki sakhti ya Roze mehshar
Mai paar Shamshir karjaunga Pakad ke tera Daaman mehdi

Tarasha Aapne Jis Badtareen ko
Anmol kardiya is kam Tareen ko
Ghairone bi hai Apna liya ise par Apne nikle Beimaan Mehdi

Haraf khauf kyun mehshar ka khaaye 
Jab ek nahi Do tujhe bachaye 
Aamaal tera dekheinge Mohammad sambhalege jab mizan mehdi

Pages