Allah se Aaghaz main karta kalam Hoon
Nabi Aur Unki Aal pe Padhta Salam Hoon
As'hab aur Aulia par ho darood lakh
Hum sab ke beech zaath thi husne sifaat thi
Alhaj budan Saab ki wo Shaksiyat thi
Thei khush mizaj aur Sharafat ke o Sartaj
Tha Na Gawar Unko rahe koi Bhi udas
Aqlaq khub thei ke o Ghar ki Bahar Thei
Bete ka Chain betiyo ka wo karar thei
Naksh sab ke Dil me wo Kirdaar Kargaye
Yaado se Apni Sab Ko wo beemar kargaye
Zauja ka bura haal udhar Ro Ro ke hua hai
Pote poti bahu ka jigar para hua Hai
Bhai behen hai ranjida Damad Sab udas
Bhanje Bhatije bhanjiya bhatijiya niras
Nata nati hai Dukh me Hairan o pareshan
Bacho ko hai ye zindagi lagne lagi veeran
Kuch Roz khabl goad me Baqa Sawar Thei
Zakira ghar Jane ko jaise taiyar thei
Noor aur imtiyaz ne baatein abhi to ki
Almas Dadajaan se Milne ko Aayi thi
Biwi Bahu se wo Yahi'n karte khitab thei
Ab Aisa lag raha Hai ke Jaise wo khab thei
Insaan ki Izzatein tum rehte huwe Karlo
Seeno se kine dur karo Aur suleh karlo
Surat to khub Hai Ab seerat pe Dhyan do
Sarkar e do Aalam ki Shariyat pe Dhyan do
Amal Apne dekh ke sab samjhein Deen Ko
Har Ghar me log paye sidiq or Ameen ko
Do pal ki zindagi hai Safar do rakat ka
Paband karlo zikr o namaz aur zakat ka
Hum sab Safir hai ke ye Fani Thikana Hai
Mulk e Adam se ek Din hum sab Ko Jana Hai
Duniya me kitne Aaye Aur Aakar Guzar Gaye
Kuch ke Nishan MIT Gaye kuch Ghar Kar gaye
Haraf ki hai ye iltija parvardigaar sun
Marhurm ki ho maghfirat apno me tere chun
Qabr Ko Unki Noor se Roushan khudaya kar
Kauser bi mile Hashr me Saya khudaya kar
Raah pulsitrat se bekhoof o chale
Pados khuld me Tere Mehboob ka mile